MOHABBAT MEIN AISE ZAMANE BHI AAYE Lyrics

Movie: Sagai
© Hindisongs.net. All Rights Reserved.


Talat:
Muhabbat men aise, zamaane bhi aaye
Kabhi ro diye ham, kabhi muskuraaye

Lata:
Muhabbat men aise, zamaane bhi aaye
Kabhi ro diye ham, kabhi muskuraaye

Talat:
Banaaya tha ik aashiyaan do dilon ne
Zamaane ki aandhi ne tin ke udaaye
Muhabbat men aise, zamaane bhi aaye
Kabhi ro diye ham, kabhi muskuraaye

Lata:
Muhabbat jo ki hai to fariyaad na kar
Muhabbat pe ilazaam aane na paaye
Muhabbat men aise, zamaane bhi aaye
Kabhi ro diye ham, kabhi muskuraaye

Lata:
Muhabbat ki aankhon se ashqon ko chun kar
Kisi ne falak pe sitaare sajaaye
Muhabbat men aise, zamaane bhi aaye
Kabhi ro diye ham, kabhi muskuraaye
Muhabbat men aise zamaane bhi aaye

Both:
Muhabbat men aise, zamaane bhi aaye
Kabhi ro diye ham, kabhi muskuraaye

... ... ... ... ...